Vividh Bharti

Varya Royce , Alphaveer

Vividh bharti hai bharti hai ye zindagi
Utarti hai marti hai ye zindagi
Tu bhi jaanta hai jaanti hai ye zindagiVividh bharti hai bharti hai ye zindagi

Dekh aage piche uper niche kitne log hai
Saaro me ek hi dhokebaazi ka rog hai
Ye Log hai
Ye low hai
Inki soch hai

Zindagi jab teri maarti
Patloon ko utarti
Bajati yeh sitar si
Kahaani Vividh Bhaarti
Badle ki bhulaiya mein
Jab paani teri naiya mein
Shaitan bhi dikhta saiyan mein
Bachne ka ek zariya hai
Isski topi uske sar
Iski khushi uska dar
Sabki chhod tu apni kar
Apni life hai apne par
Zindagi to maaregi hi
Chheh foot andar dalegi hi
Teri phaadegi hi
Taiyar reh

Duniyadari ka chakra kya samjhega agla
Chamakta hai kauwa aur maina hai bagla
Paisa hi tagda, bheje mein jakda
Yeh jungle hai khatra
Jo chhoda woh pakda

Ab mat ban tu lalchi
Kya keemat aate-daal ki
Buddhi hai kamaal ki
Jo magaj se nikaal di
Cheater aage pichhe saale tittar
Dikhne mein yeh sajjan
Par durjan hote bhitar

Kar de sabka haal bura
Andar le le maal poora, daal chhura
Yeh zindagi ki nayi reet
Apnon ko karo cheat
Apnon ko karo beat
Apno ko kro tease
Apne hi saare neech
Chipke h jaise leech
Paiso se mili preet
Sadiyo se yehi reet
Badle se mili jeet
Badi kutti h ye cheez haa!
Iss zindagi mehi pal rhe h
Tere se tere hi sad rhe h

RAKH
VIVIDH BHARTI HAI
VIVIDH BHARTI HAI BRUH!

HARD HARD!

Daftar lirik lagu Varya Royce