Yeah yeah
Aan
Hauhaha
Hath baandh chotay, hath baandh
Suno ehtraam se gaanay jaa ke laakh baar
Hath baandh chotay hath baandh
Mai hi poora gang, mai hi tera bura khuaab man
Hath baandh chotay, hath baandh
Suno ehtraam se gaanay jaa ke laakh baar
Hath baandh chotay hath baandh
Mai hi poora gang, mai hi tera bura khuaab man
Khud pe bana sakta movie (movie)
Khamiyon se bari khoobi (khoobi)
Industry ki phat′ti mai moody
Market ko milli tak laya mai khudi
Kon kitna paani mai
Ye lafzon ka darya hai, likhraha kahani nai
Ye tarz ye rawaani dekh
Ye mehnat hai jaani, dhundi hai asaani nai
Dete mujhe hate kiun ke rakha inhe wait pe
Ajatay hath sekhnay chahte mile sab plate mai
Gaanay pe gana phenkte, mathay kese nai tektay
Self made chal break le, real nai tu fake hai
Phenk le hum lapettay, bhaari mai teri jeb pe
Milli mai ganay bechtay, tu nai hai same page pe
Aya tu beta khep mai, bana mai tera gateway
Kese karte relate ye? Hath chorr
Ruswa hu mai is zamanay se
Dil k tukray mere ganay ye
Ye ansu darya mai bahane de
Qalam aur kaghaz milte is bahane se
Khuda hai gawah tu jaanay de
Ye bik jaatay aj bhi chaar anay mai
Qarze charhane de, sab ko kamanay den
Naam hota khane walay ka har daanay pe
Shayari mere khoon mai, pannay bharu mai khoon se
Ye kutte mujhe soonghtay, ye nashay mujhe dhundte
Double dave, ye two faced, badaltay hain roop ye
Shakal se hi jhootay, Qatal dekhay muu pe
Jallen mere groove se, Jashn maine lootay
Badal mere jootay, Sarr pe tere mootain
Kashti teri doobay, Akar teri tootay
Dakhal dete kyun ye?
Sambhaalu poori team, pedagiri dekhi psycho
Sign kari deal, malum wo thi teri khuaahish bro
Number mera dial karo, case ja ke file karo
Ragging hone wali chotay bula le tu bhai ko
Sabse ziada likes jani sab se ziada hype bro
Paid dislikes, boht tight, chal be side ho
Bygones be bygones future dikhta bright bro
Na hi tujhe aye sharam na hi humein aye maut
Dunya se aajiz hu
Punjabi dimag hai par dil se mahajir hoon
Dhunda har rasta jisne wo musaafir hoon
Betha mai sochun sab mujhse mutaaasir kyun
"Big daddy thing", old school
Ye vision ye soch dhund
Skills mai they're not even close to me
Look at my "juice crew" Mai khanabadosh huu
On the road to the riches, ain′t no time for these bitches
Let me paint a better picture, Saaray mangay mera feature
Phir uchaalen mujhpe keechar, ye qalam jese repeater
I go Ether on these jiggas, lemme teach ya, im a preacher
Har ek harf ko phir jaan milay
Bol na hum kahan milen?
Controversy cash karne k liye bharvay behas karen
Tehas nehas, irrelevant tou chahtay
Phir awaam milay, khaali peeli naam milay
Kho bethe bachi kuchi izzat apni, pehchaan k liye
Meri is awaaz sunne k liye log jaan deden
Aaj phir gumaan k tu itna badgumaan kyun hain
Dard ko zaban milay, maslay 99 thay
Par tu mera masla nai hai
Hathon mai qalam hai, asla nahi hai
Ye judo chamatay, nai ghussta bata ke
Jab kay mulk mai mere abhi Tesla nahi hai
Maangay mujhse torr paani, Kasar wasar chorta nahi
Yu dillon ko jorta bhai, jora ab mai torta nai
Adakar ye bore tou nahi, clout k liye shor daalen
Kyu tu baaten chodta yu? asar ye lahore ka nai
Bhookay chahte mo money
Bilawaja chaur tou nai
Tu hai mere jorr ka nai
Terhi dum marorta nai
Mujhse tez daurta nai
Jab k mai insaan jani teri tarah bhonkta nai
Hath baandh chotay, hath baandh
Suno ehtraam se gaanay jaa ke laakh baar
Hath baandh chotay hath baandh
Mai hi poora gang, mai hi tera bura khuaab man
Hath baandh chotay, hath baandh
Suno ehtraam se gaanay jaa ke laakh baar
Hath baandh chotay hath baandh
Mai hi poora gang, mai hi tera bura khuaab man
Qadar thi art ki
Nai chahiye mashoori ek raat ki
Jo kalla thi baat dee
Phir bhi nai milna mere jesa aaj bhi
Khaye hain dagh bhi
Andaaz hi alag apna, dilon ki baat cheet
Industry hai chaat ti
Sab chahte mashoori maangay Mail is hath ki
Hatho ko dhotay rahay, apne hi khuabon pe sotay rahay
Dhaagon ko hum log pirotay rahay
Woh din gin K randi ronay rotay rahay
Zindagi pe aitebaar nai
Sath mere kharay hain yaar wuhi
Ye qalam kaghaz ka mohtaaj nai
Chahiye koi Taj nai, maut ka ilaaj nahi
Ap kaaj maha kaaj
Kal mera vision tha bikay woh aaj
Launday mazboot, naazuk halaat
Nai khatay sood, hum likhen jazbaat
I got the melodies i got the remedy
Smooth jese Tennessee, losin my sanity
Tootay hain chenak bhi, karte ab panic nai
Shuru se mehnati, preaching humanity
Rakhte bandoook phir bhi mere in hi kandhon pe
Channel monetize hua tou ye lage dhandhon pe
Saray baray lund log hain, gaanay tabhi dandon se
Flow se dete phaansi mujrim khud hi phussay pandhon mai
Nikle nai ye andon se, darren mere bandon se
Lfz mere gin wazan kia tolega one go mai
Maaren unhe laaat kyun, jab wo aadi hain chandon ke
TY in the building, chaaro taraf mere bandooken
They think a lot, I wanna drink a lot
Mere fans le ke aye Hiphop mai inqilaab
Celebrate karu daily mera dil khulaaa
Jokhay on the beat, on repeat, where's the pill to pop
Shayoor bechu jani bechun apna art nai
Dilon mai zinda rahunga marnay k baad bhi
Misray hum baant te, khud rehte humein yaaad nai
Izzat se barh k kuch nahi mere liye aaaj bhi
Paisa rakhel meri aaj hai kal sath nahi
I invest in myself, I set a Bar G
Roll a blunt jese bajnay walay 420
Apni ana maine bachpan mai hi gaar dee
Pattay sookh gaye, shaakhen ugg kar toot gayi
Khuda hai gawah mera kabhi likha jhoot nai
Banda itna real, inki reach se mai duur bhi
Ainak meri kaam kare jese pehni duurbeen
Baat maan bete haandh bandh
Parnay hai chamaat, bacha hua hai tu baal baal
Piyaday wali chaal, galni nai hai teri daal waal
Daal mai kuch kaala, lafzon se karu ye gaal laaal
Guzar chuke saal kitne puche mera haal waal
Den meri misaal, lete naam mera baar baar
Dhunde saaray baal ye utaaren taaakay khaal waal
Popo le talaashi jebon mai bhara tha maal waal
Speaker hain phut tay, jab verses ye bat te
Ankhen nai jhapaktay, likhte itna hatt ke
Hum sab ko sabaq den, hamesha se haqq pe
Nikaalen hum sadqay, saharay hum rabb ke
Sab chahte k bhatken, hum nazron se bach ke
Mza jo ata cut mai, ye saaray maange qatray
Samandar bane barh ke, ab kese ye samajhte
Na maanen kabhi sach ye, bahanon pe ye atkay
Dil ki kamaan se nikalne wala teer hu
Mai tera wo marra hua zameer hu
Nazar andaaz, beqasur, mai Kashmir hu
Saaray pehchante ab lagjaati hai bheer kyu
Bilmuqaabil dil k khaano mai hum jhaankte
Karte mehsoos, tootain kese phir ye raabtay
Rehte beqabu kuch kabootar nikle fakhtay
Ghussa tha naak pe, tasveeron se ab bhaagte
Hath baandh chotay, hath baandh
Suno ehtraam se gaanay jaa ke laakh baar
Hath baandh chotay hath baandh
Mai hi poora gang, mai hi tera bura khuaab man
Hath baandh chotay, hath baandh
Suno ehtraam se gaanay jaa ke laakh baar
Hath baandh chotay hath baandh
Mai hi poora gang, mai hi tera bura khuaab man