Kyun

Talha Anjum , Umair , Annural Khalid

Tu aya nahi kyun?
Sadiyo se lambay hain lamhay yahan kya karu?
Aahat pe teri mein neend se bhi uth paru
Sab kuch bhula kar mein yaadein samaita karu
Phir tere sirhanay mein baarish mein bheega karu

Mil k bhi tu na mera
Hai na yakeen ab tera
Yaadon mein khoya hai dil ye roya hai tujh ko dhoonda tha bewaja
Janay ye aalam hai kesa
Aaye ga kesay sawera
Tanhai aisi hai mujh se kehti ye tujh ko phir se loon bula
Tu na janay tere bin mein
Kesay pal hain ye guzaaray
I mean I′m sorry for the heartbreak
You know we never should've parted
(Wish we could) Go back to the better days
Terey haath mein ho haath and I′m feelin great
Per hain alag saray raastay
Ghalti na ye meri na ye teri hai

Tu aya nahi kyun?
Sadiyo se lambay hain lamhay yahan kya karu?
Aahat pe teri mein neend se bhi uth paru
Sab kuch bhula kar mein yaadein samaita karu
Phir tere sirhanay mein baarish mein bheega karu

It's been a while
Tum waqt ke na qail
Dil ki dewaaro ko deemak ki tarah fikar teri khaye
That wasn't a goodbye tum phir bhi na laut ke ayi
Qalam uthayi phir mein ne aur likhi jo humne bitai
Tere se pehle bhi tha kuch, tere baad bhi hu
Tere saath tha jo wo dafan kar chuka apni zaat mein hu
Aik laash hai bas, thori si yaad hai bas
Aik adha qissa jis mein di jaati apni misaalein bas
Malaal hai bas, tu aya nahi kyun
Mein tou aya sun′ne wo geet tera tu ne gaya nahi kyun?
Khushi mein shamil raho meri mein gham mein bulata nahi hu
Mein maaf kardeta hu lekin mein bhulata nahi hu
Khuda ne de ke bhi, aur le ke bhi kiya imtihaan mera
Mein tou sab keh ke bhi, na keh ke bhi jaana bezubaan raha
Sab tou luta aye, yaad he teri mera samaan raha
Sadiya′n guzari ke nai tere intizaar mein tu ye bata

Tu aya nahi kyun?
Sadiyo se lambay hain lamhay yahan kya karu?
Aahat pe teri mein neend se bhi uth paru
Sab kuch bhula kar mein yaadein samaita karu
Phir tere sirhanay mein baarish mein bheega karu