Yeh mulaqat phir ni hogi
Aisay badal tu phir b ayen ge
Aisi barsaat phir ni hogi
Raat un ko b yun huwa mehsoos
Jese ye raat phir ni hogi
Ek nazar mor k dekhne wale
Kya ye khairaat phir ni hogi
Mai ne masoom baharo me tumhe dekha hai
Mai ne pur noor sitaro me tumhe dekha hai
Mere mehboob teri parda nashini ki qasam
Mai ne ashko ki qataroo me tumhe dekha hai
Hum buto ko jo pyaar kerte hain
Naqal e parwrdigar kerte hain
Itni qasmain na khao ghabra ker
Jao hum aetbar kerte hain
Ab bhi aa jao kuch ni bigra
Ab bhi hum intezar kerte hain
Saaz-e-hasti baja raha ho mai
Chashm e masti mana raha ho me
Kya ada he nisar hone ki
Un se pehlo bacha raha ho me
Kitni pukhta he meri nadani
Tujh ko tujh se chupa raha ho
Dil dobota ho chashm-e-saqi ma
Main ko main ma mila raha ho me
Na hum samjhe na tum aye kahin se
Pasina puchye apni jabeen se
Hai kahan ka irada tumhara sanam
Kis k dil ko adaao se behlao ge
Sach batao k is chandni raat me
Kis se wada kya ha kahan jao ge
Dekho acha ni he tumhara chalan
Ye jawani k din or ye shukhiyan
Yun na aaya karo baal khule howay
Warna dunya me bad naam ho jao ge
Aaj jao na bechain ker k mujhe
Jaan-e-jaan dil dukhana buri baat he
Zulf rukh se hata k baat karo
Raat ko din bana k baat karo
Mae kaday k chiragh madham hain
Zara ankhain utha k baat karo
Phool kuch chahye huzoor humain
Tum zara muskara k baat karo
Ye bhi andaz-e-guftugo he koi
Jab karo dil dukha k baat karo
Aaj jao na bechain ker k mujhe
Jaan-e-jaan dil dukhana buri baat he
Hum tarapte rahe ge yahan raat bhar
Tum tu aram ki neen so jao ge
Paas aao tu tum ko lgayen galay
Muskurate ho q door se dekh ker
Yun hi guzre agar ye jawani k din
Hum b puchtayen ge tum b puchtao ge
Be wafa be murawwat he unki nazar
Yeh badal jain ge zindagi dhoond ker
Husn walo se dil ko lgaya agar ae fana
Dekho be mout mar jao ge.!!