Khalla

Noori

Tum Ne Apne Ehsaas Ko Maar Diya…

Phir Tum Ne Us Ki Maiyat Ko Jala Diya…

Ab Tum Is Ki Raakh Par Kharay Ho…

Aur Tumhari Insaaniyat…

Aur Tumharey Darmaiyaan…

Ek Khalla Hai…

Khalla Hai Khalla Hai Khalla Hai…

Khalla Hai Khalla Hai Khalla Hai…



Main... Tum...

Hum Akelay Hain...

Be Kali Kee Chaoon Main Hum Be His Jeetay Hain...

Jeetay Hain...



Aaarzuu... Ab Chupee Hai Kahan...

Us Dyar-E-Khamoshee Main Yeh Dil Hain Jahan...

Woh Jahan...



Ab Nahin Hai Per Woh Hai Kahan?

Hum Hain Kahan?

Ghafil Hais Sayee Main Apne Jahan...

Hum Hain Wahan...



Ab Lage Aisey Jaise Zameen Se Buhat Dur...

Ab Jaisey Aur Aage Barh Letain Hain Majboor...

Buhat Dur...



Jaisee Chand Tare Pooochtay Hain Mujh Se...

Kaha Hai Teri Zindagee Kahan Hai Tu?

Kahan Tu?



Ab Nahin Hai Per Woh Hai Kahan?

Hum Hain Kahan?

Ghafil Hais Sayee Main Apne Jahan...

Hum Hain Wahan...



Dhool Ki Taal Pay Ga Ray, Gaa Ray Dil Jhoom Kay Ga Ray,

Apna Har Dard Chupa Kay, Naach Aur Sub Ko Nacha Ray,

Mukh Pay Ghoongat Daalay, Naina Do Matwaalay,

Aaj Koi Chala Hai Saj Kay Piya Nagaria Ray,

Yeh Bandhan... Naatay... Saaray... Tor Kay Manwa Ray...

Ho Manwa Ray O Manwa Ray...