Kandhon Se Milte Hain

Lakshya

( Kandhon Se Milte Hain Kandhe, Qadmon Se Qadam Milte Hain

Ham Chalte Hain Jab Aise To, Dil Dushman Ke Hilte Hain )...(2)

( Ab To Hamein Aage Badhte Hai Rahna

Ab To Hamein Saathi Hai Bas Itna Hi Kahna )...(2)

Ab Jo Bhi Ho, Shola Banke Patthar Hai Pighlana

Ab Jo Bhi Ho, Baadal Banke Parbat Par Hai Chhaana

( Kandhon Se Milte Hain....Dushman Ke Hilte Hain ) -2



Nikle Hain Maidaan Mein, Ham Jaan Hatheli Par Lekar

Ab Dekho Dam Leinge, Ham Jaake Apni Manzil Par



Khatron Se Hans Ke Khelna, Itni To Ham Mein Himmat Hai

Modhein Kalayee Maut Ki, Itni To Ham Mein Taaqat Hai

Ham Sarhadon Ke Vaaste, Lohe Ki Ik Deewaar Hain

Ham Dushmanon Ke Vaaste, Hoshiyaar Hain Taiyar Hain

Ab Jo Bhi Ho..Par Hai Chhaana

Kandhon Se Milte Hain...Dushman Ke Hilte Hain



Josh Dil Mein Jagate Chalo, Jeet Ke Geet Gaate Chalo...(2)

Jeet Ki Jo Tasveer Banane Ham Nikle Hain

Apne Lahoo Se Hamko Usmein Rang Bharna Hai

Saathi Maine Apne Dil Mein Ab Ye Thaan Liya Ha

i Ya To Ab Karna Hai, Ya To Ab Marna Hai

Chahe Angare Barse, Ke Bijli Gire

Tu Akela Nahin Hoga Yaara Mere

Koi Mushkil Ho Ya Ho Koi Morcha

Saath Har Mod Par, Honge Saathi Tere

Ab Jo Bhi Ho...Par Hai Chhaana

Kandhon Se Milte Hain...Dushman Ke Hilte Hain



Ek Chehra Aksar Mujhe Yaad Aataa Hai

Is Dil Ko Chupke Chupke Vo Tadpata Hai

Jab Ghar Se Koi Bhi Kat Aaya Hai

Kaagaz Ko Maine Bheega Bheega Paaya Hai

Palkon Pe Yaadon Ke Kuchh Deep Jaise Jalte Hain

Kuchh Sapne Aise Hain, Jo Saath Saath Chalte Hain

Koi Sapna Na Toote, Koi Vaada Na Toote

Tum Chaho Jise Dil Se, Vo Tumse Na Roothe

Ab Jo Bhi Ho, Shola Banke Patthar Hai Pighlana

Ab Jo Bhi Ho, Baadal Banke Parbat Par Hai Chhaana

Kandhon Se Milte Hain ...Dushman Ke Hilte Hain



Chalta Hai Jo Ye Kaarvan, Goonji Si Hain Ye Vaadiyan

Hai Ye Zameen, Goonji Goonji

Ye Aasman, Goonja Goonja

Hai Ye Hawa, Goonji Goonji

Hai Ye Samaa, Goonja Goonja

Har Raste Ne, Har Wadi Ne, Har Parbat Ne Sadaa Di

Ham Jeeteinge, Ham Jeeteinge, Ham Jeeteinge Har Baazi

( K

Daftar lirik lagu Lakshya