Muskurahat se Teri
Roshan hai yeh jahan
Duur tha tu jo, toh
Tha soona aasma...
Saath hain wo pal,Jab tu mere paas tha
Duur hoke bhi, Teri Yaadon mein
Gum Raha
Kehta hai ye dil, Aisi Dhunn Koi bana
Yaad karke tujhko,
De Woh phirse muskura
Yaaron ki Chaadar Odhein,
So gaye hum raaton mein
Khoobsurat tha wo pal,
Tera haath mere haath mein
Kuch aur hi thi mithaas,
Khamosh mulakaton mein
Aankhon se dil ki baat,
Gejrayinthi jazbaaton mein
Jaaduyi tha Safar Mushkil
Se inn Haalaton mein
Teri meri lambi baaton mein
Pyaara sa ek ehsaas,
Mehki si in Fizzaon mein
Ek dusre ka saath, Ishq ke
Panahon mein
Yaadein Jo saath Hain,
Mausam lage ye khushnuma
Meethi meethi si thi baatein teri,
Yaad karke dil ye khush hua
Pyari si thi teri hasi,
Kaise bhule dil tujhe bhala
Jitne pal hum saath the
Uske liye shukriya...
Pyar Ke The Panchi
Ude hum toh inn hawaon mein
Surila sa nasha, nashili inn
Ghataon mein
Kholke apne pankh
Chalti ye apni raahon pe
Tasveeron ki kitaab
Aur tujhko apni yaadon mein
Panahon mein, Fizzaon mein,
Peeche reh gayi inn raahon mein
Chod aaya main tujhe phirbhi
Kyun hai tu meri baahon mein
Khaamoshi sawalon mein
Gunje tera hi naam aaj bhi
Iss dil ke galiyaaron mein
Tu Bhi Sunn Zara, Kaisi Dil Ki Hai Ye Khata
Kehne ko tu paas hai
Phir Bhi Hai Ye Faaslaaa...
Ban Ke Ajnabi,Yaadon Ke
Sang Chala
Yaad Karle tu bhi pal wahi
Aur De Phirse Muskuraaaa...