Lagaav

AFKAP , Karan Kanchan

Inka vision bana black and white
Jaise baraf pe charas hai
Apan neeche ki seedi se upar chadheTabhi baraste galat hai
Nahi farak pada mujhe mausam ke badalte roop se
Tabhi hai khod liye khayal
Jo mere saalon se dafan they
Paise aane lage pata chala
Ye pyaar ke jawab nahi hai
Par vyast ho gaya udaane mei
Toh ab sawal nahi hai
Agar diya bhaav
Inne liya vo thok ke bhaav
Nahi bachi hai jaan mere mei
Isliye mujhe koi lagaav nahi hai
Mera saath nahi hai
Ye aashqi nahi ye aadat hai
Tu bhi kare vehem
Vo bhi kyu kare sehen?
Use bhi lagaav nahi
Vo bhi kare pretend
Mai ab bhi vo do pal ke peeche
Jisme mujhe mile rehem
Aur sochu vo do pal ke barre mei
Jo maine kiye sehen
Aur jab peeche hai khai, aur aagey hai kuan
Aur umar na thame
Rahein ho jaati alag hai
Fir bhi haath pakadne ka mann hai
Aur chand ke aane se shika nahi
Mujhe sooraj ke jaane gum hai
Aur yaadein kari dafan hai
Tabhi toh rishton pe lage ab kafan hai
Tabhi hoodie hai upar aur jhuka hua mera sir na
Naapi hai doori aur wohi badhane ka mann hai na
Khairat samajh agar kari hai maine madad hai na
Aehsaan jatane ko aa rahe par
Jabse dikhne laga mujhe tujhe bhi dikhne ka darr hai na
Inke rushed gaane lage fillers abhi
Competition? Race? Pooche kidhar nahi nahi
Jahan muh bada wahan jigar nahi
Meri soch aagey mujhe fikar nahi
23 se 23 tak

Daftar lirik lagu AFKAP