Teen saal pehle ki baat hai, mujhe aaj bhi yaad hai
Ghar chhoda apne chhode, bas itni si baat hai
Itni si baat hogi tumhare liyeTab se Aankhon me nindein kam zyda mere khwaab h
Airport pe maine dekhi fikar maa ki aankhon me
Darr tha bechaini thi papa ki bhi baaton me
Pehli baar dur hone jaa raha tha main unse
Aise laga dur hua khud apne jazbaaton se
Baitha main flight me peeche chhoot gaya bachpan
Dil ko sambhala maine kuch paane ki thi lagan
Naya mulk naye iraade, naye naye mere sangharsh
Har din har pal bas chehre khaas mere antarman
Maine dekha zinda narak maine jee hai jannat bhi
Paise ki kami ke chalte mann me dabai mannat bhi
Sardi me, raaton me, khoon paseena bahaya hai
Bhuke pait sota har aansu ne mujhe sataya hai
Itna kuch dekh chuka, bahut kuch abhi dekhna hai
Duniya bhar ki khushiyon ko, aapke liye sametna hai
Q jatau kiyun dikhau main apni pareshaniyan
Kamyabi ke raste ki meri apni hi kahaniyan
Maine chuna hai rasta jo kaanton se bharpoor hai
Bas maa ab manzil meri zyda kahan dur hai
Main is kahawat ko sach kar ke dikha raha hu
Kuch paane ki liye kuch kho kar bhi dikha rha hu
Ghar ki chardiwari ki kasam lag jaye mujhe
Main sabki khushiyo ke liye apne gamm chhupa raha hu
Subha sham ka hosh nahi logo ke taane yaad karu
Meri naakamyabi ke unke sapne barbaad karu
Papa aapki dua ne yahan tak pahunchaya hai
Duniya bhar ki khushiyon se aapko aabaad karu
Maa baap ki khushiyan unke bache k success me hai
Suno mummy papa mera success process me hai
Aapki shikayatein ik baari me puri karu
Future me aap ki khushiyan bht excess me hai